Thursday, March 18, 2010

SUNHARE PAL

SIRF HATHON ME HATH NAHI ME NE TO UNKA UMRA BHAR KA SATH HAI PAYA,
JINDGI SE BADHKAR CHAHA HAI EKDUJE KO TABHI TO CHAHAT KE SAFAR ME HAI YE MAQAM AAYA.

YEH USKI SACHCHI CHAHAT KA ASAR NAHI MUJ PAR TO AUR KYA HAI,
AANKHE MERI KHULI HO YA BANDH, CHEHRA TO BAS UNKA KA HI HAI MAN ME SAMAYA.

SACHCHE PYAR ME INSAN KYUN HO JATE HAI EK JISM AUR DO JAAN, YEH MUJE TAQDIR NE SAMJAYA,
SAPNA KEH LIJIYE YA HAQIQAT ISKO, MAGAR MUJ ME TO BAS AB HAI MERA PYAR HI SAMAYA.

MERE MEHBOOB KO LABZON ME BAYAN KARNA JAISE NAMUMKIN SA SABNE PAYA,
BAS YUN SAMAJ LIJIYE KE JISM KO KHUBSURAT TO RUH KO USKI KHUDA NE NEK BANAYA.

AB HUMDONO KE RISHTE KE BARE ME AUR KYA ZAHIR KARU AAP SE,
YUN KEH LIJIYE KE YADON KE DHAGON ME HUM DONO NE APNE PYAR KO HAI PIROYA.

1 comment: