Monday, December 13, 2010

KAUN JANE MAIN KAHAN KHO GAYA??!!

UGATA HUA SURAJ THA MAIN MAGAR REH GAYA SHAM DHALTI HUYI BANKAR,
HAIRAN KHUD BHI HUN JAB SHAKL VOHI HAI TOH KAISE GAYA ZAMIR BADALKAR.

NADAN HI THA ME JO NA JAN PAYA KE PA RAHA HUN SAPNO KO, MERE APNO KO KHOKAR,
EHSAS HUA MUJHKO ISS BAT KA, JAB PAYA MAINE KHUDKO AKELA, ZINDGI KE HAR MOD PAR.

JANTA THA SHOHRATEN RAKH DETI HAI AKSAR, MAINE INSANIYAT KE BADALKAR,
KOSATA HUN AB KHUD KO HI, KI JANTE HUE BHI YEH MAIN KYUN CHALA ISS RAH PAR.

JO BASTI THI KABHI MUJH ME INAYATE BANKAR, AB DASTI HAI VOHI BATEN SHIKAYATE BANKAR,
BAS YUN KEH LIJIYE KE ILM TAK NA THA SURON KA AUR TARAS RAHA THA ME JHANKAR.

PHALSUFA-E-ZINDGI KO MERI AB TO KHAMOSHIYAN BHI RAKH DETI HAI BAYAN KAR KE,
BAS YUN SAMAJ LIJIYE KE AANSU HI KHARIDE HAI MAINE HARDUM MUSKURAHATE BECHKAR.

No comments:

Post a Comment