Thursday, March 18, 2010

DIL KI KAHANI USI KI ZUBANI

MERE PYAR KI GAHERAI JIS DIN SE UNKO SAMAJ AAI,
DARMIYAN HUMDONO KE PHIR NA KABHI AA PAI JUDAI.

MEHSUS KARTI THI JO DHADKAN MERI, DASTAN VO HI UNKI AANKHON NE DOHARAI,
PYAR KEHTE HAI AAKHIR KISKO, YEH BAAT MUJE US LAMHE KE BAD SAMAJ AAI.

CHAHTA HUN ME BAS USKO HI KYUN ITNA, VAJAH ISKI MUJE NA AUR KOI NAJAR AAI,
JHANKA JAB BHI MAGAR PYAR KE DARICHE SE, TO ZINDGI HAR TARAH SE KHUBSURAT NAZAR AAI.

DIYA CHAHAT KA JO JALA THA DILO ME HUMARE, HAWA USKO ZAMANE KI NA KABHI BUJHA PAI,
SACHCHI CHAHAT KA NAZARANA HI HOGA, JO YEH BAAT TAQDEER NE MUMKIN BANAI.

BAGBAN MERE DIL KE AASHIYANE KA KHUDA HI HOGA, JO EK KALI USME “AAP” SI KHIL AAI,
DUR KARKE KANTON KO ZINDGI KE DAMAN SE KHUSHBU USME “AAP” KE PYAR KI BIKHARAI.

No comments:

Post a Comment