Thursday, March 18, 2010

HASIN MOD

VO BOLTI HAI JAB KUCH BHI TO BATE GAZAL BAN JATI HAI,
UTHATI HAI JAB USKI NAZRE DHADKANE JAWAN DILO KI THAM JATI HAI.

PYAR KARTI HAI VO SIRF MUJH SE HI YE HAR WAQT JATATI HAI,
PAR NA JANE KYUN YE BAAT USKE HOTHON TAK AAKAR RUK JATI HAI.

VO PEHLI BAR PICHHE MUDKAR, MUSKURANA USKA, DIL AAJ BHI BHUL SAKTA NAHI
DEKHNE KI IS ANDAZ SE HI VO KARAR DEKAR BHI BEKARARI BADHA JATI HAI.

SOCHATA HUN SAATH UNKA HOGA JIVAN ME JAB HARPAL, VO WAQT BHI KITNA HASIN HOGA,
YAAD HI JINKI HOTHON PE MUSKURAHAT AUR TANHAI ME SUKUN DE JATI HAI.

KOI NEK DUA HI JARUR KUBUL HUI HOGI US KHUDA KE DARBAR ME,
VARNA AAM TAUR PAR KUDARAT JINDGI ME AISE HASIN HADSE BAHUT KAM DIKHATI HAI.

2 comments: