Thursday, March 18, 2010

SAMJAUTA TAQDEER SE

NA APNA SATH DE PATE HAI, NA MAUT DE PATE HAI,
VADA JO KARTE HAI SANG JINE KA VO HI TANHA CHHOD JATE HAI.

JO MUSKURATE HAI KHUSHIYON ME HUMARI AUR GAMON ME RO DETE HAI,
NA JANE VO HI MAUSAM KI TARAH KYUN AAKAR CHAL DETE HAI.

SATH NASIB HONA HI JINKA HAR MARZ KI DAWA KEHLATA HAI,
VO INSAN HI KYUN NA JANE HUME KHUN KE AANSU RULATA HAI.

YAD SE HI JINKI CHEHRE PE MITHI MUSKURAHAT SI AA JATI HAI,
KHUDA JANE PHIR BIGAIR USI INSAN KE ZINDGI KAISE BASAR HO JATI HAI.

DIL KE ZAKHMON KO KISI APNE KO DIKHAKAR MAN HALKA KAR LETE HAI,
YA YUN KEH LIJIYE KE ZINDGI JINE KE LIYE HALAT SE SAMJAUTA KAR LETE HAI.

2 comments: