Thursday, March 18, 2010

DO AANSU

MURZATI HUI BAHAROME HUM KHILNA BHUL GAYE,
UDASINE AISA GHERA KI HUM HASNA BHUL GAYE.

PHIKR TO BAHOT HAI HAME HAMARE PHAILE HUYE VYAPAAR KI,
HAR PAL UTRATE AUR CHADHATE HUYE SHARE BAZAAR KI,
KHARID RAKHI HAI SHANAU SHOKAT HAMNE SARE JAHAN KI,
PAR KUCHH KHUSHIYON KE PAL HUM BANTORNA BHUL GAYE.

MURZATI HUI BAHAROME HUM KHILNA BHUL GAYE,
UDASINE AISA GHERA KI HUM HASNA BHUL GAYE.

ACHHAI KE SIDHE RASTE KO HAMNE MOD DIYA HAI,
ZUTH KI SANGAT ME HAMNE SACCHAI KO CHHOD DIYA HAI,
SWARTH KE DHANCHE ME HAMNE KHUDKO JAISE DHAAL DIYA HAI,
PAR DIL SE NIKLI HUYI EK AAWAZ HUM SUNANA BHUL GAYE.

MURZATI HUI BAHAROME HUM KHILNA BHUL GAYE,
UDASINE AISA GHERA KI HUM HASNA BHUL GAYE.

AAJ HER WAQT AANKHO ME YE NAMI SI KYUN HAI,
SABKUCHH PAKE BHI NAJANE KUCH KAMI SI KYUN HAI,
IN SAWALON KE JAWAB HUM SABHI SE PUCHHATE HAI,
PAR KHUD SE YE SAWAL SHAYAD HUM PUCHHANA BHUL GAYE.

MURZATI HUI BAHAROME HUM KHILNA BHUL GAYE,
UDASINE AISA GHERA KI HUM HASNA BHUL GAYE

No comments:

Post a Comment