Thursday, March 18, 2010

JINE KI VAJAH

ZUBAN SE TO VO KUCHH NA KEH PAYI, BAS SHARMAKAR MUSKURAI,
MERE PYAR KI HI CHAMAK THI JO USKI AANKHON ME UTAR AAYI.

VO JAB SE MERI ZINDGI ME AAYI, YEH AANKHEN HAI SIRF MUSKURAI,
SHIKAYAT US LAMHE KE BAD MUJE KOI, TAQDIR SE NA RAHE PAYI.

EHMIYAT RISHTON KI KYA HOTI HAI, VO ZINDGI ME AAYE TO YE BAAT SAMAJ AAYI,
MERE PYAR KI SACHAI HI TO THI JO VO MERE MAN KO PADH PAI.

HONA HAI HUMKO EKDUJEKA YEH PEHLE HI TAY KAR CHUKI THI USKI KHUDAI,
SHAYAD ISILIYE TO RAB NE HUMDONO KE HATH KI LAKIR THI EK SI BANAI.

REHMAT KHUDANE HUM PAR KUCH YUN BARSAI KI KYA KEHNE, AANKH BHAR AAI,
ZINDGI KO HUMARI USNE JUDAI KE ANDHERE SE NAHI MILAN KE UJALE SE SAJAI.

1 comment: